Axis bank se business loan kaise le | dosto agar aap bhi apna khud ka business suru karne ke liye business loan lena chahte hai to yaha par humne Axis bank business loan ke bareme bataya hai.
Namaskar dosto aapka swagat hai Sohohindi blog me. Aaj hum baat karne wale hai Axis bank se business loan lene ke bareme. Axis Bank se business loan kaise lete hai.
Aaj ke samay me bahut sare log naye naye business suru kar rahe yadi aap bhi apne khudka business suru karna chahte hai lekin aapke pass paise nahi he to aap business loan lekar apna khudka business suru kar sakte hai. Yaha par humne Axis bank se business loan lene ke bareme batane wale hai.
Dosto pichle post me humne Bank Of Baroda Business Loan ke bareme bataya tha yadi aapne abhi tak us post ko nahi padha hai to usse bhi jarur padhe.
Axis bank se business loan lene ke liye aapko kon kon se document dene hoge, interest rate kitna lagage, kitne samay ke liye loan milega, business loan lene ke liye online apply kaise kar sakte hai aur bhi bahut sari details aapko is post me milne wali hai to dosto ise pura padhe.
Axis Bank Se Business Loan Kitna Milega?
Axis bank se aap 50,000 se 50 lakh tak ka Business loan le sakte hai.
Axis Bank Se Business Loan Kitne Samay Ke Liye Milega?
Dosto agar aap axis bank se business loan lete hai to loan amount ko bharne ke liye aapko 1 se lekar 5 saal tak ka samay mil jayega.
Axis Bank Se Business Loan Lene Par Byaj Kitna Lagega?
Axis Bank Business Loan Interest Rate
Axis bank se milne wale loan amount par aapko 11.05% – 17% Interest rate lagega.
Axis Bank Se Business Loan kon kon Le Sakta hai?
- Aapki age 21 honi chahiye aur jyada se jyada 65 saal honi chahiye
- Aapka cibil score 750 hona chahiye
- Aap Self-employed hone chahiye
- Aapka Turnover 30 lakh tak ka hona chahiye
- Aapka current business 3 saal purana hona chahiye
Axis Bank Se Business Loan Lene Liye kon kon Se Documents Dene Hoge?
Axis Bank Business Loan Documents Required
- KYC Documents
- Pan Card
- Business Proof
- Bank Account Statement Of Last 6 Months
- Relevant Financial Documents
- Completely Filled Application Form By Customer
Axis Bank Se Business Loan Kaise Le?
Axis Bank Business Loan Apply Online
1 – Axis bank se Business Loan lene ke liye aapko axis bank ki official website par jana hai
2 – Iske baad aapko Business Loan ko select karke Apply Now par click karna hai
3 – Fir aapko apni sabhi Details dalni hai
4 – Iske baad aapko apne documents upload karne hai
5 – Yadi aap loan lene ke liye eligible hoge to loan amount aapko apne bank account me mil jayegi.
Fir aap apna khudka business suru karne ke kiye paise ka upyog kar sakte hai aur apna favorite business suru kar sakte hai.
To dosto aaj aapne jana ki Axis bank se business loan kaise lete hai dosto agar aapko ye post helpful laga he to is post ko aage share jarur karna.